bastī se thoḌī duur chaTTānoñ ke darmiyāñ
Thahrā huā hai ḳhāna-ba-doshoñ kā kārvāñ
is kārvāñ meñ tifl bhī haiñ naujavāñ bhī haiñ
būḌhe bhī haiñ marīz bhī haiñ nā-tavāñ bhī haiñ
māthe pe saḳht-koshi-e-paiham kī dāstāñ
āñkhoñ meñ huzn o yaas kī ghanghor badliyāñ
uTThe haiñ jis kī god se aazar vo qaum hai
toḌe haiñ jis ne charḳh se aḳhtar vo qaum hai
āḳhir zamāna un ko satā.egā kab talak
kab se jalā rahā hai jalā.egā kab talak