ba-sad ġhurūr ba-sad faḳhr-o-nāz-e-āzādī
machal ke khul ga.ī zulf-e-darāz-e-āzādī
mah-o-nujūm haiñ naġhma-tarāz-e-āzādī
vatan ne chheḌā hai is tarah sāz-e-āzādī
zamāna raqs meñ hai zindagī ġhazal-ḳhvāñ hai
zamāna raqs meñ hai zindagī ġhazal-ḳhvāñ hai
har ik jabīñ pe hai ik mauj-e-nūr-e-āzādī
har ik aañkh meñ kaif-o-surūr-e-āzādī
ġhulāmī ḳhāk-basar hai huzūr-e-āzādī
har ek qasr hai ik bām-e-tūr-e-āzādī
har ek baam pe ik parcham-e-zar-afshāñ hai
har ek samt nigārān-e-yāsmīñ-paikar
nikal paḌe haiñ dar-o-bām se mah-o-aḳhtar
vo sail-e-nūr hai ḳhīra hai aadmī kī nazar
ba-sad ġhurūr-o-adā ḳhanda-zan hai gardūñ par
zamīn-e-hind ki jolā-nigah ġhazālāñ hai
sadā do anjum-e-aflāk raqs farmā.eñ
butān-e-kāfir-o-saffāk raqs farmā.eñ
sharīk halqa-e-idrāk raqs farmā.eñ
tarab kā vaqt hai bebāk raqs farmā.eñ
ki ye bahār-e-payāmī-e-sad-bahārāñ hai
ye inqalāb kā muzhda hai inqalāb nahīñ
ye āftāb kā partav hai āftāb nahīñ
vo jis kī tāb-o-tavānā.ī kā javāb nahīñ
abhī vo sa.i-e-junūñ-ḳhez kāmyāb nahīñ
ye intihā nahīñ āġhāz-e-kār-e-mardāñ hai