dillī se vāpsī
ruḳhsat ai dillī tirī mahfil se ab jaatā huuñ maiñ
yaad ā.eñge mujhe tere zamīn-o-āsmāñ
rah chuke haiñ merī jaulāñ-gāh tere bostāñ
terā dil dhaḌkā chuke haiñ mere ehsāsāt bhī
tere aivānoñ meñ gūñje haiñ mire naġhmāt bhī
rashk-e-shīrāz-kuhan hindostāñ kī aabrū
sar-zamīn-e-husn-o-mausīqī bahisht-e-rañg-o-bū
ma.abad-e-husn-o-mohabbat bārgāh-e-soz-o-sāz
tere but-ḳhāne hasīñ tere kalīsā dil-navāz
zikr yūsuf kā to kyā kiije tirī sarkār meñ
ḳhud zuleḳhā aa ke biktī hai tire bāzār meñ
jannateñ ābād haiñ tere dar-o-dīvār meñ
aur tū ābād ḳhud shā.ir ke qalb-e-ār meñ
mahfil-e-sāqī salāmat bazm-e-anjum barqarār
nāznīnān-e-haram par rahmat-e-parvardigār
yaad aa.egī mujhe be-tarah yaad aa.egī tū
ain vaqt-e-mai-kashī āñkhoñ meñ phir jā.egī tū
kyā kahūñ kis shauq se aayā thā terī bazm meñ
chhoḌ kar ḳhuld-e-alī-gaḌh kī hazāroñ mahfileñ
kitne rañgīñ ahd-o-paimāñ toḌ kar aayā thā maiñ
dil navāzān-e-chaman kā chhoḌ kar aayā thā maiñ
ik nasheman maiñ ne chhoḌā ik nasheman chhuT gayā
saaz bas chheḌā hī thā maiñ ne ki gulshan chhuT gayā
dil meñ soz-e-ġham kī ik duniyā liye jaatā huuñ maiñ
aah tere mai-kade se be-piye jaatā huuñ maiñ
jaate jaate lekin ik paimāñ kiye jaatā huuñ maiñ
apne azm-e-sarfaroshī kī qasam khātā huuñ maiñ
phir tirī bazm-e-hasīñ meñ lauT kar ā.ūñgā maiñ
ā.ūñgā maiñ aur ba-andāz-e-digar ā.ūñgā maiñ
aah vo chakkar diye haiñ gardish-e-ayyām ne
khol kar rakh dī haiñ āñkheñ talḳhī-e-ālām ne
fitrat-e-dil dushman-e-naġhma huī jaatī hai ab
zindagī ik barq ik sho.ala huī jaatī hai ab
sar se pā tak ek ḳhūnīñ raag ban kar ā.ūñgā
lāla-zār-e-rañg-o-bū meñ aag ban kar ā.ūñgā