mire pahlū-ba-pahlū jab vo chaltī thī gulistāñ meñ
farāz-e-āsmāñ par kahkashāñ hasrat se taktī thī
mire baazū pe jab vo zulf-e-shab-gūñ khol detī thī
zamāna nik.hat-e-ḳhuld-e-barīñ meñ Duub jaatā thā
vo merā sher jab merī hī lai meñ gungunātī thī
manāzir jhūmte the bām-o-dar ko vajd aatā thā
umañD aate the jab ashk-e-mohabbat us kī palkoñ tak
Tapaktī thī dar-o-dīvār se shoḳhī tabassum kī
vo jab hañgām-e-ruḳhsat dekhtī thī mujh ko muḌ muḌ kar
to ḳhud fitrat ke dil meñ mahshar-e-jazbāt hotā thā
ḳhabar kyā thī ki vo ik roz mujh ko bhuul jā.egī
aur us kī yaad mujh ko ḳhuun ke aañsū rulā.egī