ik majma-e-rañgīñ meñ vo ghabrā.ī huī sī
baiThī hai ajab naaz se sharmā.ī huī sī
hoñToñ pe fidā rūh-e-bahār-o-gul-o-nasrīñ
āñkhoñ kī chamak rū-kash-e-bazm-e-mah-o-parvīñ
lahreñ sī vo letā huā ik phuul kā sehrā
sehre meñ jhamaktā huā ik chāñd sā chehrā
har saañs meñ ehsās-e-farāvāñ kī kahānī
ḳhāmoshi-e-mahbūb meñ ik sail-e-ma.ānī
fitrat na.e jazbāt ke dar khol rahī hai
mīzān-e-javānī meñ use taul rahī hai
sarshār nigāhoñ meñ hayā jhuum rahī hai
haiñ raqs meñ aflāk zamīñ ghuum rahī hai
ai tū ki tire dam se mirī zamzama-ḳhvānī
ho tujh ko mubārak ye tirī nūr-jahānī
chhalke tirī āñkhoñ se sharāb aur ziyāda
mahkeñ tire aariz ke gulāb aur ziyāda