ḳhuub bādal kā barasnā pyaar hai barsāt meñ
rahmatoñ kā is tarah iz.hār hai barsāt meñ
arsh se aayā zamīñ meñ jazb paanī ho gayā
aap ko aane meñ ham tak aa rahe barsāt meñ
ai ḳhushā dil ab to sailāb-e-mohabbat aa.egā
aaj to bā-chashm-e-nam dildār hai barsāt meñ
yuuñ to piine ke bahut charche haiñ bazm-e-zohd meñ
kaun kāfir hai jise inkār hai barsāt meñ
taar bārish kā na TuuTe baj uTheñ tār-e-junūñ
āfrīñ dāmān-e-dil bhī taar hai barsāt meñ
dūsre sab mausamoñ meñ haiñ ravayye sard-o-garm
us ke lab par haañ magar iqrār hai barsāt meñ
ai 'suhail' us ko zarā khul kar barasnā chāhiye
ehtiyāt-e-husn-e-dil dil baar hai barsāt meñ