armān zamīñ ke jaag uThe dildār ye pahlī bārish hai
kal soch rahā thā saarā jahāñ dushvār ye pahlī bārish hai
ranjish jo hamāre beach rahī to aag falak ne barsā.ī
ab soch na kuchh mausam ko samajh ai yaar ye pahlī bārish hai
fitrat meñ nazar aate haiñ hameñ apnī hī mohabbat ke pahlū
inkār thā garmī kā aalam iqrār ye pahlī bārish hai
ehsās judā.ī donoñ taraf āñkhoñ se merī aañsū haiñ ravāñ
us paar na jaane kaisā samāñ is paar ye pahlī bārish hai
ġhunchoñ pe ajab shādābī hai aur jaag uThī hai hariyālī
tamhīd bahār-e-tāza kā dīdār ye pahlī bārish hai
tū aur kahīñ maiñ aur kahīñ āġhosh-e-tamannā suunī hai
aisā to kabhī pahle na huā is baar ye pahlī bārish hai
vo rahm-o-karam hai bil-āḳhir mujh ko to 'suhail' is par hai yaqīñ
bas us kī ināyat kā yāroñ iz.hār ye pahlī bārish hai