Suhail Kakorvi

sawan

Suhail Kakorvi

Kakori, Uttar pradesh, India

1950
us kī palkoñ pe ghaTā ban ke jo chhāyā sāvan
phir to maiñ hañs paḌā kuchh is tarah barsā sāvan
chaḌhte sūraj ke shuāoñ se jo barsā sāvan
maiñ ne dekhā na sunā thā kabhī aisā sāvan
saarī jaañ khiñch ke chalī aa.ī mirī āñkhoñ meñ
phuul kī tarah khile zaḳhm jo aayā sāvan
ḳhirman-e-sabr ko bijlī ne jalāyā gir kar
jab kabhī dil kī tamannāoñ se uljhā sāvan
barq-o-bārāñ to hai tasvīr-e-hayāt-e-insāñ
hañs ke rone kā dikhātā hai tamāshā sāvan
yuuñ to pahle hī sameTe thā hazāroñ jalve
husn ke aks se kuchh aur bhī nikhrā sāvan
har taraf phuul khile rañg ke bādal barse
ai 'suhail' us kī nigāhoñ ne sajāyā sāvan
Top Urdushayar.com