Jilani Kamran

ek nazm

Jilani Kamran

kabhī agar tum zamīñ se guzro zamīñ jo ham sab kī saltanat hai
to jis taraf ik kalī ke mohre pe chāñdnī apnā naam ḳhud hai
maiñ kuchh nahīñ apne giit kā apnī maut kā nāma-bar huuñ
aksar zamīñ kī qismat meñ jitnī zardī hai vo huuñ lekin hazār qīmat
isī liye jab kabhī tumhārā guzar ho aur din ke nek sūraj
ḳhud apne mausam kī bādshāhat hoñ, to jahāñ āñsuoñ ke chashme
ḳhāmoshiyāñ mere saath saarī bahār kā mo.ajaza haiñ
saaya jahāñ guzishta ka.ī dinoñ se taḌap rahā hai
Top Urdushayar.com