Asar Lakhnavi

ahinsa ki pahli sunahri kiran

Asar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1885-1967
ḳhirāmāñ ḳhirāmāñ chalī aa rahī hai
nigāhoñ pe ik husn se chhā rahī hai
har ik gaam par nuur bikhrā rahī hai
ufuq par vo parcham ko lahrā rahī hai
ahinsā kī pahlī sunahrī kiran

milī kīmiyā-gar ko āḳhir vo buuTī
ki jis se alā.eq kī zanjīr TuuTī
shab-e-tār meñ jaise mahtāb chhūTī
tajallī ke parde se phūTī vo phūTī
ahinsā kī pahlī sunahrī kiran

nayā ruup hastī ne paidā kiyā hai
har ik dil meñ ik valvala bhar rahā hai
musībat kā ehsās himmat-fazā hai
ki arbāb-e-bīnish kī ab rahnumā hai
ahinsā kī pahlī sunahrī kiran

zamīn-o-zamāñ ham-navā ho rahe haiñ
ki dil vaale tuḳhm-e-vafā bo rahe haiñ
vahī pā rahe haiñ jo kuchh kho rahe haiñ
jagā.egī un ko bhī jo so rahe haiñ
ahinsā kī pahlī sunahrī kiran
Top Urdushayar.com