aaj phir ghaat meñ baiThā hai samundar kā sukūt
ham ko ik dūsre se duur hī rahnā hogā
mujh ko is daur-e-jarāhat se guzar jaane de
mujh ko jiine kī tamannā nahīñ mar jaane de
tū na ghabrā ki tire husn kī mish.al le kar
tere hamrāh kabhī tere bichhaune ke qarīb
zarf baaqī na koī azm-e-nihāñ baaqī hai
sirf ehsās ke chehre pe dhuāñ baaqī hai
ye jahāñ jis meñ sab atrāf tabāhī ke nishāñ
sūrat o shakl pe zaḳhmoñ kī tarah phaile haiñ
talḳh tanhā.ī kā ik dard liye chehre par
le ke phirtā huuñ maiñ zaḳhmoñ ke diye chehre par
zindagī hai ki kisī shaah kī begam jis ko
vaqt bāzār meñ laayā hai barhana kar ke
vaqt kahtā hai hameñ duur hī rahnā hogā
ham ko har haal meñ majbūr hī rahnā hogā