diloñ meñ dard dimāġhoñ meñ kashmakash kā dhuāñ
jabīñ pe ḳhaak nigāhoñ meñ ġham kī tārīkī
fareb khaa.e haiñ ham ne fareb khāte haiñ
fareb de na sake ham magar zamāne ko
hameñ to fikr yahī hai ki kaun aa.egā
hamāre ba.ad lahū ke diye jalāne ko
vo zindagī jo sabhī ko aziiz hotī hai
ham ahl-e-ġham ke na yuuñ paas aa sakegī kabhī
qadam qadam pe jinheñ justujū ho chāhat kī
unheñ rafīq na duniyā banā sakegī kabhī
ḳhalā meñ DhūñD rahe haiñ ham ik masīhā ko
hatheliyoñ pe aqīdat ke āftāb liye
shu.ūr-o-hosh kī duniyā hai ek muddat se
nazar nazar meñ na.ī raushnī ke ḳhvāb liye
vasī.a dasht-e-tamannā ke surḳh siine par
sulagte dard kā āñchal na sard hogā kabhī
dhuāñ ugalte añdheroñ meñ raushnī bhar deñ
ragoñ meñ ḳhuun kī gardish ko tez-tar kar deñ