Chandrabhan Khayal

gum-shuda aadmi ka intizar

Chandrabhan Khayal

Babai, Madhya Pradesh, India

1946
lahū-nosh lamhoñ ke bedār saa.e
use gher leñge sināneñ uThā.e
vo sūraj kā sāthī añdheroñ ke ban meñ
asāsa liye fikr kā apne fan meñ
ġhazabnāk tanhā.iyoñ ko yaqīñ hai
ki us ke muqaddar meñ vo ḳhud nahīñ hai
shahr-zād shabnam se ye pūchhtā hai
ki sūraj ke siine meñ kyā kyā chhapā hai
tah-e-ātish-e-sruḳh-rū vo savālī
ki jis ne hathelī pe sarsoñ jamā lī
kabhī is nagar meñ kabhī us nagar meñ
kabhī bas gayā sirf dīvār-o-dar meñ
faqat paas meñ us ke ma.asūm dil hai
magar kis qadar muztarib muzmahil hai
hathelī pe duniyā kā naqsha banā.e
bhaTaktā hai vo aaj bhī choT khaa.e
Top Urdushayar.com