bastī kī bīmār galī meñ
shahnā.ī jab jab gūñjī hai
maañ ne aksar mujh se kahā hai
tum bhī apnā byaah rachā lo
maiñ ghar ke kone meñ baiThā
shor sun rahā huuñ shahroñ kā
ghāyal nadiyoñ kī lahroñ kā
parbat par baiThā ik jogī
apnī āñkheñ band kiye mujh par hañstā hai
aur vo mustaqbil kī aurat
kabhī sarāsar zahr ugaltī
kabhī anokhā zahar nigaltī
piiT rahī hai chaaT rahī hai chhātī merī
dariyā jañgal parbat sahrā
shor hai kitnā andar bāhar
pal pal jaise kuuḌe lagā rahī hai ḳhvāhish
sadiyoñ ke pyāse neze paivast hue phir
sūkhī aur be-rañg ragoñ meñ
ḳhuun ke ik qatre kī ḳhātir
sadiyoñ kī rāheñ tai karnā
koī mushkil kaam nahīñ hai
bahr-e-kashākash ke sāhil par
rāhat patthar toḌ rahī hai
mauj-e-tamannā chaTTānoñ se apnā māthā phoḌ rahī hai
maiñ ghar ke kone meñ baiThā
shor sun rahā huuñ mamtā kā
haañ ab maiñ soch rahā huuñ
aisā koī raas rachā.ūñ
ammāñ kī būḌhī chhātī par
ek nayā sadma ban jā.ūñ