Chandrabhan Khayal

subh ki aamad ke sath

Chandrabhan Khayal

Babai, Madhya Pradesh, India

1946
qarīb-e-sub.h sadā-e-shikast-e-jāñ ubhrī
laboñ kā zahr achānak pighal gayā āḳhir
sukūt-e-jism lahū piite piite chauñk uThā
ye kaun shab kī tamāzat se jal gayā āḳhir
karāhtā sā uThā koī TūTtā paikar
siyāhiyoñ meñ sulagtā huā dhuāñ jaise
jhaTak ke daur huī bistaraoñ se uktāhaT
lipaT gayā ho koī saañp nā-gahāñ jaise
azāb-e-rūh makānoñ kā dard chāTegā
baḌheñge shahr-e-tamannā kī samt sab saa.e
kashā-kashoñ ke samundar meñ Dubkiyāñ lete
har ek zaat kī maujūdiyat se uktā.e
gharoñ meñ qaid dar-o-bām kī har ik uljhan
galī galī ke laboñ se lipaT rahī hogī
tabī.atoñ ko sambhāle hue dhueñ kī lakīr
varaq kitāb-e-nafas ke ulaT rahī hogī
rahegā yuuñ hī saroñ par itaab kā sūraj
isī tarah se basar hote jā.eñge din-rāt
Top Urdushayar.com