sab kuchh yaad kar rahā huuñ maiñ
koī baat bhulā dene ko
aur ye kaisī sachchā.ī hai
aaj bhūlne kī koshish meñ
sadiyoñ kī tārīḳheñ azbar kar baiThā huuñ
maiñ hairāñ huuñ maiñ huuñ pareshāñ
kaise chhupā.ūñ hālat apnī
har koshish lā hāsil merī
aur ye kamrā ye dīvāreñ
khūñTī se laTkī shalvāreñ
ye be-raunaq būḌhī rāteñ
farsh pe lipTī biitī bāteñ
ye sab mujh par bojh bane haiñ
uf ye kaisā zulm hai mujh par
jab bhī maiñ nañgā hotā huuñ
mere tan par chādar koī paḌī hotī hai
vo bhī ek ghaḌī hotī hai
jab siine par shahr khaḌā ho
tab kuchh be-ma.anī chīḳhoñ se
ik matlab kī chīḳh achānak maiñ hathyā luuñ
aur kisī ḳhāmosh jagah tanhā goshe meñ
saarā matlab chhīn jhapaT kar
fauran us kā galā dabā duuñ
maiñ shāyad kuchh bhuul rahā huuñ
haañ maiñ sab kuchh bhuul chukā huuñ
ab tanhā ḳhālī kamre meñ
haath meñ nañgā chhurā dabā.e
dauḌ rahā huuñ bhaag rahā huuñ
ye bhī mujh ko yaad nahīñ ab
soyā huuñ yā jaag rahā huuñ
qatl ke fauran ba.ad magar phir
vo sab kā sab yaad rahegā
jise bhūlne kī koshish meñ
sadiyoñ kī tārīḳheñ azbar kar baiThā huuñ