lamha lamha ḳhūnīñ ḳhanjar
sadiyāñ jībheñ haiñ sāñpoñ kī
ghaaT pe baiThī pyaas kī devī
aur jādūgar
vaqt kī āñkheñ dekh rahī haiñ
murda ghar ke ik kamre ke tez dhueñ meñ
ek kuñvārī nañgī aurat
chaaT rahī hai
apne hī be-rañg lahū ko
man kī āñkheñ khol ke dekhūñ to kyā dekhūñ
sab to suulī par laTkā hai
sab kuchh luTā luTā lagtā hai
koī chupke se kahtā hai
nañgī aurat kī jāñghoñ meñ saañp Daal kar maiñ so jā.ūñ
lekin koī chīḳh rahā hai
vaqt kī āñkheñ dekh rahī haiñ
lamha lamha ḳhūnīñ ḳhanjar
sadiyāñ jībheñ haiñ sāñpoñ kī