Chandrabhan Khayal

agar qarib se dekho

Chandrabhan Khayal

Babai, Madhya Pradesh, India

1946
agar qarīb se dekho to jaan logī tum
jahāñ hai saañp kī sūrat vajūd se lipTā
na kārvāñ na manāzil na rahguzar na safar
hayāt jaise khaḌā ho koī shajar tanhā
diloñ meñ pyaas taḌaptī hai raat din apne
bharī huī hai alam-nāk yaas āñkhoñ meñ
siyāh bhūtoñ kī mānind jaag uThte haiñ
ye be-sukūñ se manāzir udaas āñkhoñ meñ
tumheñ hai ḳhauf ki jvālā bhaḌak uThe na kahīñ
maiñ sochtā huuñ jalā duuñ kisī tarah ḳhud ko
tumheñ hai fikr ki jiine kā aasrā ho koī
maiñ chāhtā huuñ miTā duuñ kisī tarah ḳhud ko
raqīq aag ne sīnoñ ko raakh kar Daalā
vajūd kaañp rahe haiñ shikast khaa.e hue
koī pahāḌ koī ban talāsh karte haiñ
dimāġh bār-e-masā.ib kā ġham uThā.e hue
pighal rahe haiñ usūloñ ke āhanī paikar
hisār karb kī sulgī huī fasīloñ par
kuchh is tarah haiñ shab-o-roz gard-ālūda
Tañge huuñ jaise purāne libās kīloñ par
agar qarīb se dekho to dil kī bastī meñ
na hausle na umañgeñ na garmiyāñ baaqī
gunāhgār fazāoñ kī qatl gāhoñ meñ
haqīqatoñ kā pata hai na dāstāñ baaqī
Top Urdushayar.com