āvāra-gard lamhe yuuñ be-qarār bhaTkeñ
jaise parind pyāse dīvāna-vār bhaTkeñ
be-jān-o-be-takallum ik aarzū hai tanhā
jañgal meñ jaise koī vīrān sī imārat
bastī se duur jaise ḳhāmoshiyoñ kā parbat
taane khaḌā ho ḳhud ko jāmid sadī kī sūrat
ehsās apnī lau par yuuñ tamtamā.e jaise
sho.aloñ pe chal rahā ho ik be-libās jogī
kahtī hai aql ham ko jalvat-pasand rogī
kyā sādhūoñ meñ aisī jvālā jagī na hogī
aksar sameTte haiñ bikhre hue junūñ ko
ham log aaj bhī haiñ kis darja nā-mukammal
shaitāñ sifat sharāre oḌhe dhueñ ke kambal
doshīzgī ġham ko jhulsā.eñ jab musalsal
chiñghāḌtī haiñ sāñseñ sīnoñ meñ be-tahāshā
jaise aziim insāñ pāmāl ho gayā ho
jaise har ek luT kar kañgāl ho gayā ho
ik muḳhtasar sā pal bhī sad saal ho gayā ho
ajgar guphā meñ leTā shīrīniyāñ chabā.e
aur ham ye sūkhe patte ab tak baTorte haiñ