Meeraji

samundar ka bulawa

Meeraji

Lahore, Punjab, Pakistan

1912-1949
ye sargoshiyāñ kah rahī haiñ ab aao ki barsoñ se tum ko bulāte bulāte mire
dil pe gahrī thakan chhā rahī hai
ab āñkhoñ meñ jumbish na chehre pe koī tabassum na tevarī
faqat kaan sunte chale jā rahe haiñ
magar maiñ to duur ek peḌoñ ke jhurmuT pe apnī nigāheñ jamā.e hue huuñ
na ab koī sahrā na parbat na koī gulistāñ
na sahrā na parbat na koī gulistāñ faqat ab samundar bulātā hai mujh ko
ki har shai samundar se aa.ī samundar meñ jā kar milegī
Top Urdushayar.com