Meeraji

clerk ka naghma-e-mohabbat

Meeraji

Lahore, Punjab, Pakistan

1912-1949

sab raat mirī sapnoñ meñ guzar jaatī hai aur maiñ sotā huuñ

phir sub.h devī aatī hai

duniyā ke rañg anokhe haiñ

jo mere sāmne rahtā hai us ke ghar meñ ghar-vālī hai

juuñ tuuñ rasta kaT jaatā hai aur bandī-ḳhāna aatā hai

chal kaam meñ apne dil ko lagā yuuñ koī mujhe samjhātā hai

jab aadhā din Dhal jaatā hai to ghar se afsar aatā hai

aur apne kamre meñ mujh ko chaprāsī se bulvātā hai

Top Urdushayar.com