añdhere kamre meñ baiThā huuñ
ki bhūlī-bhaTkī koī kiran aa ke dekh paa.e
siyāh bāloñ kī tīrgī meñ tumhārā māthā chamak rahā hai
tumhārī āñkhoñ meñ ik kiran naach naach kar mujh se kah rahī hai
tumhāre hoñToñ pe giit ke phuul muskurā.e ki tum ne apne libās ko yuuñ utaar pheñkā
ki jaise raagī ne taan lī ho
siyāh kamra tumhārī tānoñ se gūñjtā hai
hazāroñ sāloñ se gūñjtā hai