Anjum Khaleeq

etiraf

Anjum Khaleeq

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1950
har shāḳh-e-tamannā par merī har-chand ki barg-o-bār lage
vo peḌ jo mere naam kā hai, har aañkh ko sāya-dār lage
kuchh vaqf-e-tabassum hoñT bhī haiñ, kuchh rasta taktī āñkheñ bhī
kuchh vo haiñ jin se milne ko be-tāb hoñ merī bāñheñ bhī
ye dād-o-satā.ish ke tamġhe, kuchh she.roñ par, kuchh kāmoñ par
aur itnā istehqāq bhī jo hotā hai sub.hoñ shāmoñ par
Top Urdushayar.com