samundaroñ ke muhīb tūfāñ mere azā.em ke sāhiloñ se shikast khā kar palaT chuke haiñ
maiñ kohsāroñ kī hastiyoñ se bhī āsmāñ kā vaqār ban kar ulajh chukā huuñ
ye zikr hai us tavīl maazī kā maiñ akelā thā is bharī kā.enāt meñ jab
faqat mirī jāñ-gudāz tanhā.ī saaya ban kar thī saath mere
aur aaj jab ki ye mere bachche
jinheñ zamāne kī aañkh ne mere dast-o-bāzū kā ruup samjhā
maiñ apne bachchoñ ko apnī quvvat kahūñ ki be-himmatī kā maz.har