rah gayā raah meñ jab kuchh bhī na kāñToñ ke sivā
tīrgī jhuuT kī jab chhā ga.ī sachchā.ī par
dil ke sunsān khañDar meñ koī naġhma jaagā
aañkh maltī huī ik sub.h bayābāñ se uThī
zahr meñ Duub ga.ī thiiñ jo zabāneñ yaksar
un pe shīrīnī-e-vahdat ke tarāne aa.e
jism kāñToñ se guzartā hai guzar jaane do
ruuh vo phuul hai jis par na ḳhizāñ aa.egī
pīr-e-nañgāna tirī rūh-e-sadāqat ko salām
jāvedāñ parcham-e-ulfat tirā lahrātā hai