Ata Abidi

ghurur ka anjam

Ata Abidi

manzūm kahānī
hāmid thā madrase kā ik honhār bachcha
izzat baḌoñ kī kartā chhoToñ se pyaar kartā
sab ko salām kartā sab se adab se miltā
paikar ḳhulūs kā thā yuuñ bā-tamīz thā vo
apne hoñ yā parā.e sab kā aziiz thā vo
ik roz us ke dil meñ shaitān aa samāyā
phir kyā thā ḳhud-numā.ī ne sar bahut uThāyā
sab chāhte haiñ mujh ko maiñ sab kā huuñ dulārā
shāyad nahīñ hai raushan mujh sā kisī kā taara
ye sochte haiñ aisā maġhrūr ho gayā vo
iḳhlās-o-nek-sīrat se duur ho gayā vo
milne lagī sharārat hī meñ use to lazzat
vo māntā burā jab kartā koī nasīhat
tañg aa ke rafta-rafta logoñ ne saath chhoḌā
yāroñ ne muñh ko moḌā apnoñ ne rishta toḌā
auroñ se duur ho kar apne meñ kho gayā vo
bastī meñ madrase meñ tanhā sā ho gayā vo
saath us ke madrase ab sāthī koī na jaatā
ab saath vo kisī ke hargiz na khel paatā
ik roz rāste meñ dekhā na us ne patthar
zaḳhmī huā vo kaafī khaa.ī jo us ne Thokar
ḳhuun itnā bah gayā ki behosh ho gayā vo
aayā jo hosh apnī hālat pe ro paḌā vo
koī na thā vahāñ jo us kī madad ko aatā
lañgḌātā aur rotā us shaam ghar ko pahuñchā
ek hafta ba.ad us kā sālāna imtihāñ thā
lekin ilaaj hī meñ hafta vo saarā guzrā
din imtihāñ ke bārish ne rāste meñ gherā
peḌoñ ke nīche dubkā chhatrī na lā sakā thā
vaise to sāthiyoñ ko us ne bahut pukārā
lekin kisī ko us par mutlaq taras na aayā
al-qissa imtihāñ meñ nākām ho gayā vo
thā nek-nām kal tak badnām ho gayā vo
bachcho faqat kahānī hargiz ise na jaano
ye baat qīmtī hai dil se tum is ko maano
bhūle se bhī na hargiz dil meñ ġhurūr aa.e
kirdār bhī ho aisā sab ko surūr aa.e
kartā hai ḳhaak jism-o-jāñ ko ġhurūr aise
sūkhe hue shajar ko khā jaa.e aag jaise
Top Urdushayar.com