Ata Abidi

KHwab ki dilli

Ata Abidi

sapne meñ raat aa.ī dillī
dair talak batyā.ī dillī
pūchh rahī thī haal batāo
guzrā kaise saal batāo
basne vāloñ meñ dillī ke
bolo sachche dost nahīñ the
yā ki buzurgoñ kī sohbat meñ
kamī thī kuchh un kī shafqat meñ
ba-yak nazar har chiiz bhulā dī
manzar ko yā ḳhud ko sazā dī
maiñ jo tere dil kī adā thī
kyā merī ulfat hī ḳhatā thī
galiyāñ saḌkeñ daftar hotel
har jā hai yādoñ kī halchal
aaj meñ kyā ḳhūbī hai jo yuuñ
bhuul chuke ho tum apnā kal
husn ke haiñ vo kaun se jalve
jo mere dāman meñ nahīñ the
kyā aisī uftād paḌī jo
bhuul ga.e dil-sāz zamīñ ko
kyā mere saa.e ke nīche
rāhat aur ārām nahīñ the
savāloñ kī is aaḌ meñ dillī
vaj.h-e-judā.ī pūchh rahī thī
jamī thiiñ mujh par ka.ī nigāheñ
dil meñ dabī thiiñ apnī aa.heñ
kahtā kyā alfāz nahīñ the
āñkhoñ se aañsū bah nikle
saarī hālat jaan ga.ī vo
kah ke mujhe nādān ga.ī vo
sapne meñ raat aa.ī dillī
dair talak batyā.ī dillī
Top Urdushayar.com