Ata Abidi

achchhi kitab

Ata Abidi

dostoñ meñ sab se achchhā dost hai achchhī kitāb
aa batā duuñ kaisī hotī hai 'atā' achchhī kitāb
har qadam par nek-o-bad kā farq batlātī hai ye
har qadam ko sīdhī-sachchī raah dikhlātī hai ye
dīn-o-duniyā kā hamesha ham ko detī hai sabaq
raushnī hī raushnī detā hai is kā har varaq
sīkhtī hai is se duniyā kāmrānī kā hunar
ye atā kartī hai sab ko zindagānī kā hunar
sahl ho jaatī haiñ is se vaqt kī bārīkiyāñ
duur kartī hai ye sab ke zehn kī tārīkiyāñ
zindagī ke imtihāñ meñ hausla detī hai ye
chāhne vāloñ ko ūñchā martaba detī hai ye
is kī sohbat se farozāñ aaj sham-e-e'tibār
is kī ulfat se daraḳhshāñ aaj husn-e-iḳhtiyār
zindagī paatī hai is se aap ḳhud apnī ḳhabar
zindagī paatī hai is se ik maqām-e-mo.atabar
baḳhshtī hai ye basārat aur basīrat bhī hameñ
taaki dikhlā.ī paḌe shai kī haqīqat bhī hameñ
ye hameñ batlātī hai ham kyā haiñ aur duniyā hai kyā
ye hameñ batlātī hai rab kaun hai uqbā hai kyā
is ke dāman meñ haiñ pinhāñ har zamāne ke uluum
is ke āñgan meñ haiñ raqsāñ chāñd sūraj aur nujūm
is ke jalve se huvaidā ma.arifat kī daulateñ
nuur se is ke huā insān kā irfāñ hameñ
is ke dam se ham pe vāzeh uqda-e-marg-o-hayāt
is ke dam se ham pe raushan hai jahān-e-kā.enāt
is qadar jāma.a mukammal haiñ 'atā' is kī sifāt
kab hai mumkin pesh karnā ai 'atā' is kī sifāt
Top Urdushayar.com