Ata Abidi

urdu

Ata Abidi

apnī tahzīb hai aur apnī zabāñ hai urdu
apne ghar meñ magar afsos kahāñ hai urdu
ahl-e-ulfat ke liye husn-e-ravāñ hai urdu
ahl-e-dil ke liye dilkash hai javāñ hai urdu
aaj bhī 'ġhālib' o 'iqbāl' paḌhe jaate haiñ
aaj bhī kal kī tarah jādū-bayāñ hai urdu
aaj bhī 'prem' ke aur 'krishn' ke afsāne haiñ
aaj bhī vaqt kī jamhūrī zabāñ hai urdu
aaj bhī mulk kī azmat ke haiñ naġhme is meñ
aaj bhī qaum kī hurmat kā bayāñ hai urdu
aaj bhī bazm kī raunaq hai 'atā' is ke sabab
mahfil-e-sher kī is vaqt bhī jaañ hai urdu
Top Urdushayar.com