go uḌāte haiñ abhī dhūleñ ham
chāhte haiñ ki falak chhū leñ ham
ho buzurgoñ kī duāoñ meñ asar
bāġh-e-hastī meñ phaleñ-phūleñ ham
ilm kā shauq ho dil meñ itnā
sabaq apnā na kabhī bhūleñ ham
shād-o-ābād rahe ye bachpan
aur jhūloñ pe yūñhī jhūleñ ham
quvvat-e-ḳhair atā ho itnī
Dhīlī shar kī kareñ sab chūleñ ham
apnī taqdīr ke ham haiñ me.amār
apnā mansab na kabhī bhūleñ ham