Ata Abidi

ek ulul-azm bachche ka ehsas

Ata Abidi

maiñ haal kā muzhda huuñ
maiñ raunaq-e-fardā huuñ
bachpan kā zamāna hai
ḳhushiyoñ kā tarāna hai
maiñ haal kā muzhda huuñ
maiñ raunaq-e-fardā huuñ
paḌh-likh ke baḌā banñā
maqsad bhī hai kāvish bhī
maiñ haal kā muzhda huuñ
maiñ raunaq-e-fardā huuñ
maañ baap bahan bhaa.ī
ulfat hai mujhe sab se
maiñ haal kā muzhda huuñ
maiñ raunaq-e-fardā huuñ
maiñ rāj-dulārā huuñ
maiñ phuul se pyārā huuñ
maiñ haal kā muzhda huuñ
maiñ raunaq-e-fardā huuñ
yā-rab hai duā merī
nekī ho adā merī
maiñ haal kā muzhda huuñ
maiñ raunaq-e-fardā huuñ
Top Urdushayar.com