ye jo mire ġham-ḳhvār haiñ yaaro
bahut baḌe makkār haiñ yaaro
sūrat se kaam aane vaale
andar se be-kār haiñ yaaro
daulat in kā diin aur īmāñ
matlab ke sab yaar haiñ yaaro
gul kī ḳhushbū bech ke ab ye
gulshan se bezār haiñ yaaro
ye sach-much ġhaddār haiñ yaaro
ye jo mire ġham-ḳhvār haiñ yaaro
bātoñ meñ sharmāte haiñ
har qīmat par bik jaate haiñ
diin se jo begāna kar deñ
aisī bāteñ samjhāte haiñ
hamdardī kā Dhoñg rachā kar
tarsāte haiñ taḌpāte haiñ
chiknī-chupḌī bāteñ kar ke
zehnoñ ko bhī uljhāte haiñ
ulTī sīdhī tahrīroñ ke
rañg dikhā kar bahkāte haiñ
pakke duniyā-dār haiñ yaaro
ye jo mire ġham-ḳhvār haiñ yaaro
dekhūñ in fankāroñ kā fan
saaf nahīñ hai jin kā dāman
soz-e-haqīqat naġhma naġhma
sho.ala sho.ala chilman chilman
husn kī rusvā.ī kā baa.is
ishq vafā tahzīb ke dushman
kitne pyāre hamsā.e haiñ
alag alag bhī shaiḳh-o-barahman
kitne pyāre hamsā.e haiñ
alag alag bhī shaiḳh-o-barahman
nā-dānoñ ko raas nahīñ haiñ
insānī rishtoñ ke bandhan
apnoñ se bezār haiñ yaaro
ye jo mire ġham-ḳhvār haiñ yaaro
insānoñ kī shaan alag hai
diin alag īmān alag hai
vaqt kī sarsoñ phuul rahī hai
jism alag hai jaan alag hai
apne saaz aur apnī dhun meñ
jiine kā sāmān alag hai
apnī apnī saf ke andar
munshī aur dahqān alag hai
sab ke Thekedār haiñ yaaro
ye jo mire ġham-ḳhvār haiñ yaaro
dukh dete dukh paate bhī haiñ
khāte bhī haiñ girāte bhī haiñ
jaan ke dushman hamdardī kī
bātoñ ko dohrāte bhī haiñ
daaġh jo in ke dāman par hoñ
daulat se dhul jaate bhī haiñ
amn kī ḳhātir aane vaale
zulm hazāroñ Dhāte bhī haiñ
phūl-numā ye ḳhaar haiñ yaaro
ye jo mire ġham-ḳhvār haiñ yaaro