Abul Fitrat Meer Zaidi

karachi

Abul Fitrat Meer Zaidi

Muzaffarnagar, Uttar pradesh, India

1919
karachi meñ dekhī hazāroñ kī hastī
qarār-āfrīñ be-qarāroñ kī bastī
amīroñ ke bangle ġharīboñ ke chhappar
balā kī bulandī qayāmat kī pastī
sharīfoñ kī aur shahryāroñ kī duniyā
kahīñ rel-pel aur kahīñ tañg-dastī
nikhartā buḌhāpā machaltī javānī
kahīñ but-garī hai kahīñ but-parastī
javānoñ ke pahlū meñ khilte hue dil
hasīnoñ kī nazroñ se bāda-parastī
ḳhirāmāñ ḳhirāmāñ clifton pe aa kar
samundar kī machhlī na hañstī na phañstī
ki shīrīñ mahal khārā dar hai karachi
na.ī raushnī kā nagar hai karachi
baḌī ḳhūbiyāñ haiñ baḌe aadmī meñ
ġharīboñ kī kaTtī hai bechārgī meñ
adab bhī tijārat vafā bhī tijārat
tijārat kī dhun hai hañsī meñ ḳhushī meñ
salāmat rahe kār-ḳhāne kī chimanī
baḌā seTh māhir hai jādūgarī meñ
jeboñ ke aadam jiyūñ ke Thikāne
chamakte nazar ā.eñge raushnī meñ
hayā hoTaloñ meñ hai aape se bāhar
vafā ghar ke andar bhī hai bebasī meñ
qamīzoñ se baazū alag ho chuke haiñ
ġharāra bhī patlūn hai sādgī meñ
hasīnoñ ke chehre chamakte damakte
takalluf nahīñ husn kī aarsī meñ
ki ḳhush-posh hai ḳhush-nazar hai karachi
na.ī raushnī kā nagar hai karachi
amīroñ kā maskan ġharīboñ kā ghar hai
ra.īsoñ kā dānishvaroñ kā nagar hai
ġharīboñ ke ḳhūn-e-jigar kī badaulat
amīroñ kā sūkhā huā halq tar hai
ḳhudā.ī ke chakkar meñ aisā ghirā hai
ki banda ḳhudā se yahāñ be-ḳhabar hai
karachi kī saḌkeñ baḌī tañg-dil haiñ
ġharībo tumhārā ḳhudā rāhbar hai
yahāñ shaam bhī raat bhī din bhī raushan
gunāhoñ savāboñ kī kis ko ḳhabar hai
ki gulshan defence aur society meñ
baḌe log rahte haiñ al-muḳhtasar hai
magar ḳhuub se ḳhūb-tar hai karachi
na.ī raushnī kā nagar hai karachi
shahīdoñ kī mardān-e-ġhāzī kī jā hai
yahāñ apne qaa.id kā bhī maqbara hai
yahāñ miir bhī piir bhī ḳhvesh bhī haiñ
ki meman bhī ḳhūbe bhī darvesh bhī haiñ
hasīñ is nagar ke fusūñ-kār bhī haiñ
usūl-e-mohabbat ke ġhaddār bhī haiñ
farishtoñ kā rūhoñ kā maskan yahāñ hai
hamāre liye ye zamīñ āsmāñ hai
hasīnoñ kī nazroñ ke haqdār hote
agar ham yahāñ bar-sar-e-kār hote
chalo ham bhī māneñge is ke fusūñ ko
sambhāle agar ye hamāre junūñ ko
javāñ mah-jabīnoñ kā ghar hai karachi
na.ī raushnī kā nagar hai karachi
hamārā to hai jogiyoñ jaisā pherā
yahāñ aql ne Daal rakkhā hai Derā
na 'shā.ir' ne sochā na māhir ne dekhā
adab ko na.e digestoñ ne gherā
ra.iis apnī jhuggī meñ thoḌī jagah deñ
to ham bhī yahāñ kar sakeñge baserā
ḳhudā kī ḳhudā.ī meñ sab haiñ barābar
ye chhappar ye bañgla na terā na merā
jo baḳhshegā insāniyat ko ujālā
hamārī nigāhoñ meñ hai vo saverā
na.ī zindagī kī na.ī ḳhvāhishoñ ne
ġhamoñ ko sameTā ḳhushī ko bikherā
bahār-āfrīñ moḌ par hai karachi
na.ī raushnī kā nagar hai karachi
Top Urdushayar.com