Abul Fitrat Meer Zaidi

baghawat kaun kare

Abul Fitrat Meer Zaidi

Muzaffarnagar, Uttar pradesh, India

1919
is kumba-parvar duniyā meñ bekas kī himāyat kaun kare
jab ġhāsib munsif ban jaa.eñ insāf kī zahmat kaun kare
jo farq samajhte haiñ ab tak hindī sindhī punjabi meñ
in aql ke puure logoñ se laḌne kī himāqat kaun kare
jo luT kar aa.e haiñ un ko sabr aate aate aa.egā
lekin is behis duniyā meñ ehsās-e-haqīqat kaun kare
kyā rahnā aisī bastī meñ har baat jahāñ kī ulTī ho
jab baaz hī khet kā dushman ho phir is kī hifāzat kaun kare
ma.alūm ye hotā hai ab tak yūsuf ke barādar zinda haiñ
jab apne dushman ho jaa.eñ ġhairoñ kī shikāyat kaun kare
in khāte-pīte logoñ se ye baat koī pūchhe jā kar
zardāroñ kī dāvat tum ne kī nādār kī dāvat kaun kare
mahloñ ke sunahrī pardoñ meñ har aib hunar ban jaatā hai
lekin in daulat-mandoñ ko jhuTlāne kī jur.at kaun kare
ham sab kuchh kar sakte haiñ magar ye soch ke phir rah jaate haiñ
tum laakh bure ho apne ho apnoñ se baġhāvat kaun kare
Top Urdushayar.com