Wahiduddin Saleem

husn ki zaban se

Wahiduddin Saleem

jahāñ meñ hai ziyā mirī maiñ husn-e-jalva-kār huuñ
maiñ raunaq is chaman kī huuñ maiñ fasl-e-nau-bahār huuñ
kalīm ko maiñ apnā ruḳh na be-ḳhatar dikhā sakā
surāġh mere nuur kā na koh-e-tūr pā sakā
paḌī hai ik ḳhafīf sī nujūm par kiran mirī
ki rakhtī hai tavāf meñ sadā unheñ lagan mirī
ye chāñdnī kī ThanDakeñ ye dhuup kī harārateñ
ye sub.h kī sabāhateñ ye shaam kī malāhateñ
har ek shāḳh-sār meñ mujhī se aab o rañg hai
phapakte haiñ daraḳht jo ye merī hī umañg hai
guloñ ke rañg rañg se ayaañ haiñ jhalkiyāñ mirī
chaman ke ġhunche ġhunche meñ shamīm hai nihāñ mirī
Top Urdushayar.com