Rajendra Nath Rahbar

aa jaana

Rajendra Nath Rahbar

1931
fazā meñ dard-āgīñ giit lahrā.e to aa jaanā
sukūt-e-shab meñ koī aah tharrā.e to aa jaanā
samajh lenā koī ro ro ke tujh ko yaad kartā hai
samajh lenā koī ġham kā jahāñ ābād kartā hai
diloñ ko gudgudā.e jab tarannum ābshāroñ kā
ghaTā barsāt kī jab chuum le muñh kohsāroñ kā
zamāna mushkiloñ ke jaal phailā.e to phailā.e
qadam baḌhte raheñ be-dard duniyā laakh bahkā.e
jhaḌī barsāt kī jab aag tan man meñ lagātī ho
guloñ ko bulbul-e-nāshād hāl-e-dil sunātī ho
Top Urdushayar.com