Rajendra Nath Rahbar

tumhaari yaad

Rajendra Nath Rahbar

1931
raat ke surma.ī añdheroñ meñ
saañs lete hue saveroñ meñ
aabjū ke hasīñ kināroñ par
ḳhvāb-ālud rahguzāroñ par
gulsitānoñ kī sair gāhoñ meñ
zindagī kī hasīn rāhoñ meñ
mai-e-rañgīñ kā jaam uThāte vaqt
ranj-o-ġham kī hañsī uḌāte vaqt
shādmānī meñ ġham ke tūfāñ meñ
raunaq-e-shahr meñ bayābāñ meñ
raqs kartī huī bahāroñ meñ
ḳhūn-āshām ḳhār-zāroñ meñ
dopahar ho ki nuur kā taḌkā
fasl-e-gul ho ki daur patjhaḌ kā
sub.h ke vaqt shaam ke hañgām
be-quyūd-e-maqām be-hañgām
dāman-e-dil ko thaam letī hai
kitnī gustāḳh hai tumhārī yaad
Top Urdushayar.com