apne āñchal pe sitāroñ se mirā naam na likh
maiñ tirā ḳhvāb huuñ palkoñ meñ sajā le mujh ko
zindagī chāñdnī rātoñ kā hasīñ ruup liye
sañg-e-marmar ke jazīroñ meñ utar aa.ī hai
tere hañste hue hoñToñ kā pighaltā huā lams
gungunātā hai mirī ruuh kī tanhā.ī meñ
apnī abreshmīñ zulfoñ ke ghanere saa.e
merī nīndoñ ke shabistānoñ meñ lahrāne de