tire nikhre hue jalvoñ ne dī thī raushnī mujh ko
tire rañgīñ ishāroñ ne mujhe jiinā sikhāyā thā
tirā paikar tirī bāñheñ tirī āñkheñ tirī palkeñ
tire aariz tirī zulfeñ tire shāne kisī ke haiñ
kisī ne sone chāñdī se tire dil ko ḳharīdā hai
kisī ne tere dil kī dhaḌkanoñ ke giit gaa.e haiñ
kise ma.alūm thā manzil hī mujh se ruuTh jā.egī
laraz kar TuuT jā.eñge mirī qismat ke sayyāre
jahāñ tū hai vahāñ haiñ nuqra.ī sāzoñ kī jhankāreñ
jahāñ maiñ huuñ vahāñ chīḳheñ haiñ fariyādeñ haiñ naale haiñ
maiñ jab bhī ġhaur kartā huuñ tirī is bevafā.ī par
to ġham kī aag meñ mehr-o-vafā ke phuul jalte haiñ