safed kāġhaz piilā paḌ chukā hai
aur ibārat dhundlī ho ga.ī hai
āsār-e-qadīma ke māherīn
aur zabānoñ ke mohaqqiqīn
ye kitāb kisī murda zabān meñ likhī ga.ī hai
jo ab zamīn ke kisī ḳhitte meñ bolī yā samajhtī nahīñ jaatī
raat ke kisī pahar āsār-e-qadīma ke ek māhir kī aañkh khul jaatī hai
vo lakḌī ke vaznī sandūq se kitāb nikāltā hai
pahle safhe par sarkārī ḳhazāne kā hisāb hai
dūsre safhe par purohit ke jaarī karda ibādat ke ahkām
kitāb ke āḳhirī safhe par
bādshāh kī maut kī ḳhabar thī