Ram Parshad Bismil

dur tak yaad-e-watan aai thi samjhane ko

Ram Parshad Bismil

ham bhī ārām uThā sakte the ghar par rah kar
ham ko bhī paalā thā māñ-bāp ne dukh sah sah kar
tifl un ko hī samajh lenā jī bahlāne ko

desh sevā hī kā bahtā hai lahū nas nas meñ
ab to khā baiThe haiñ chittauḌ ke gaḌ.h kī qasmeñ
bahneñ tayyār chitāoñ pe haiñ jal jaane ko

naujavānoñ jo tabī.at meñ tumhārī khaTke
yaad kar lenā kabhī ham ko bhī bhūle-bhaTke
par na māthe pe shikan aa.e qasam khāne ko

apnī qismat meñ azal se hī sitam rakkhā thā
rañj rakkhā thā mehan rakkhā thā ġham rakkhā thā
duur tak yād-e-vatan aa.ī thī samjhāne ko

apnā kuchh ġham nahīñ hai par ye ḳhayāl aatā hai
mādar-e-hind pe kab se ye zavāl aatā hai
muntazir rahte haiñ ham ḳhaak meñ mil jaane ko
Top Urdushayar.com