ai mire sher ke naqqād tujhe hai ye gila
ki nahīñ hai mire ehsās meñ sarmastī o kaif
ai mire dost! mire ġham ke parakhne vaale
bas chale merā to lā duuñ tujhe rūh-e-gul-e-tar
tīra-o-tār sī ye raat, bhayānak sī fazā
Dagmagāte hue qadmoñ ko mire dost baḌhā
yak-ba-yak āñdhiyāñ uThne lagīñ har jānib se
aan kī aan maiñ gahnā gayā ummīd kā chāñd
yuuñ to kahne ko ye aañsū haiñ bas ik qatra-e-āb
jin meñ surḳhī dil-e-pur-ḳhūñ kī na soz o tab-o-tāb
sabr ai dost! abhī sard kahāñ ġham kī aag
lab tak aa.e bhī to jal jā.eñge sab aish ke raag