ek saperā merī galī meñ aa niklā kal shaam
us kī āñkheñ chamkīlī thiiñ aur āñkheñ sañgīn
us ke gale meñ saañp paḌā thā jaise koī haar
us ne gale se saañp utārā aur kahā ki jhuum
maiñ ghabrā ke pīchhe haTā aur maiñ ne kahā nādān!
saañp ki patthar toḌ ke rakh de jis kā zahrī vaar
hañs ke saperā bolā baabū mujh se ho ga.ī bhuul
tum jo ik duuje ke gale par rakhte ho talvār
māthe par ye kanThā dekho jaise koī taaj
ye raaja haiñ par nahīñ piite kamzoroñ kā ḳhuun
ye nahīñ Dasne vaale in par Daal ke dekho haath
ḳhush-qismat ho aur tumhāre achchhe haiñ hālāt