ek javān sī aur dīvānī aurat ko
maiñ ne saḌak par aksar ghūmte dekhā hai
us kī surḳh āñkhoñ meñ pāgal-pan ke sivā
aur bhī kuchh hai jis kā koī naam nahīñ
us ke patthar jaise chup-chup chehre par
ik sañgīn udāsī nāchtī rahtī hai!
us ke māthe par bikhrī zulfoñ kā dhuāñ
jaise ḳhatm na hone vaalā chāñd gahan
kyā jaane kis kī beTī hai kis kī bahan
kyā jaane kis baap kā dil kis maañ kā nuur
vo fōtpath pe aur kabhī shahrāhoñ par
kyā jaane kis dhun meñ tanhā phirtī hai
koī sharī.at jis se nahīñ le saktī hisāb
jis kā dil nekī se ḳhālī hai