kaun aayā hai
koī nahīñ aayā hai pāgal
tez havā ke jhoñke se darvāza khulā hai
achchhā yuuñ hai
bekārī meñ zaat ke zaḳhmoñ kī sozish ko aur baḌhāne
tez-ravī kī rāhguzar se
mehnat-kosh aur kaam ke din kī
dhuul aa.ī hai dhuup aa.ī hai
jaane ye kis dhyān meñ thā maiñ
aatā to achchhā kaun aatā
kis ko aanā thā kaun aatā