Jaun Eliya

qatil

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
sunā hai tum ne apne āḳhirī lamhoñ meñ samjhā thā
ki tum merī hifāzat meñ ho mere bāzuoñ meñ ho
sunā hai bujhte bujhte bhī tumhāre sard o murda lab se
ek sho.ala shola-e-yāqūt-fām o rañg o ummīd-e-faroġh-e-zindagī-āhañg lapkā thā
hameñ ḳhud meñ chhupā liije
ye merā vo azāb-e-jāñ hai jo mujh ko
mire apne ḳhud apne hī jahannam meñ jalātā hai
tumhārā sīna-e-sīmīñ
tumhāre bāzūvān-e-mar-marīñ
mere liye
mujh ik havasnāk-e-faromāya kī ḳhātir
saaz o sāmān-e-nashāt o nashsha-e-ishrat-fuzūnī the
mire ayyāsh lamhoñ kī fusūñ-gar pur-junūnī ke liye
sad-lazzat āgīñ sad-karishma pur-zabonī the
tumheñ merī havas-pesha
mirī saffāk qātil bevafā.ī kā gumāñ tak
is gumāñ kā ek vahm-e-ḳhud gurezāñ tak nahīñ thā
kyuuñ nahīñ thā kyuuñ nahīñ thā kyuuñ
koī hotā koī to hotā
jo mujh se mirī saffāk qātil bevafā.ī kī sazā meñ
ḳhuun thukvātā
mujhe har lamhe kī suulī pe laTkātā
magar fariyād koī bhī nahīñ koī
dareġh uftād koī bhī
mujhe mafrūr honā chāhiye thā
aur maiñ saffāk-qātil bevafā ḳhūñ-rez-tar maiñ
shahr meñ ḳhud-vārdātī
shahr meñ ḳhud-mast āzādāna phirtā huuñ
nigār-e-ḳhāk-āsūda
bahār-e-ḳhāk-āsūda
Top Urdushayar.com