Jaun Eliya

daraKHt-e-zard

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
nahīñ ma.alūm 'zaryūn' ab tumhārī umr kyā hogī
vo kin ḳhvāboñ se jaane āshnā nā-āshnā hogī
hadaf hoñge tumhārā kaun tum kis ke hadaf hoge
na jaane vaqt kī paikār meñ tum kis taraf hoge
ye kaḌvāhaT kī bāteñ haiñ miThās in kī na pūchho tum
nam-e-lab ko tarastī haiñ so pyaas in kī na pūchho tum
nasha chaḌhne lagā hai aur chaḌhnā chāhiye bhī thā
abas kā nirḳh to is vaqt baḌhnā chāhiye bhī thā
tumhārī jo hamāsa hai bhalā us kā to kyā kahnā
hai shāyad mujh ko saarī umr us ke sehr meñ rahnā
nahīñ ho tum mire aur merā fardā bhī nahīñ merā
so maiñ ne sāhat-e-dīroz meñ Daalā hai ab Derā
'hasan' naamī hamāre ghar meñ ik 'suqrāt' guzrā hai
vo apnī naf.i se isbāt tak ma.ashar ke pahuñchā hai
tumhārī arjumand ammī ko maiñ bhūlā bahut din meñ
maiñ un kī rañg kī taskīn se nimTā bahut din meñ
mohabbat ek paspā.ī hai pur-ahvāl hālat kī
mohabbat apnī yak-taurī meñ dushman hai mohabbat kī
kuchh aisā hai ye maiñ jo huuñ ye maiñ apne sivā huuñ ''maiñ''
so apne aap meñ shāyad nahīñ vaaq.e huā huuñ maiñ
bidah yaarā azaañ baada ki dahqāñ parvard āñ-rā
ba sozad har mata-e-intimā.e dūdmānañ rā
dil o jaañ aur āsā.ish ye ik kaunī tamasḳhur hai
humuq kī abqariyyat hai safāhat kā tafakkur hai
suno 'zaryūn' tum to ain-e-a.ayān-e-haqīqat ho
nazar se duur manzar kā sar-o-sāmān-e-sarvat ho
to maiñ kyā kah rahā thā ya.anī kyā kuchh sah rahā thā maiñ
amaañ haañ mez par yā mez par se bah rahā thā maiñ
radīf o qāfiya kyā haiñ shikast-e-nā-ravā kyā hai
shikast-e-nāravā ne mujh ko paara paara kar Daalā
jise fan kahte aa.e haiñ vo hai ḳhūn-e-jigar apnā
magar ḳhūn-e-jigar kyā hai vo hai kattāl-tar apnā
haiñ kaḌvāhaT meñ ye bhīge hue lamhe ajab se kuchh
sarāsar be-hisābānā sarāsar be-sabab se kuchh
na jaane āriba kyuuñ aa.e kyuuñ musta.araba aa.e
muzir ke log to chhāne hī vaale the so vo chhā.e
Top Urdushayar.com