ye kitāboñ kī saf-ba-saf jildeñ
kāġhazoñ kā fuzūl istīma.al
raushnā.ī kā shāndār isrāf
sīdhe sīdhe se kuchh siyah dhabbe
jin kī taujīh aaj tak na huī
chand ḳhush-zauq kam-nasīboñ ne
basar auqāt ke liye shāyad
ye lakīreñ bikher Daalī haiñ
kitnī hī be-qusūr nasloñ ne
in ko paḌhne ke jurm meñ tā-umr
le ke kashkūl-e-ilm-o-hikmat-o-fan
kū-ba-kū jaañ kī bhiik māñgī hai
aah ye vaqt kā azāb-e-alīm
vaqt ḳhallāq be-shu.ūr qadīm
saarī tārīfeñ un añdheroñ kī
jin meñ partav na koī parchhā.īñ
aah ye zindagī kī tanhā.ī
sochnā aur sochte rahnā
chand ma.asūm pāgaloñ kī sazā
aaj maiñ ne bhī soch rakkhā hai
vaqt se intiqām lene ko
yūñhī tā-shām saade kāġhaz par
TeḌhe TeḌhe ḳhutūt khīñche jaa.eñ