tumhāre naam tumhāre nishāñ se be-sarokār
tumhārī yaad ke mausam guzarte jaate haiñ
na vo nashāt-e-tasavvur ki lo tum aa hī ga.e
na zaḳhm-e-dil kī hai sozish koī jo sahnī ho
utaar de jo kināre pe ham ko kashtī-e-vahm
to gird-o-pesh ko girdāb hī samajhte haiñ
na koī zaḳhm na marham ki zindagī apnī
guzar rahī hai har ehsās ko gañvāne meñ