Jaun Eliya

safar ke waqt

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
tumhārī yaad mire dil kā daaġh hai lekin
safar ke vaqt to be-tarah yaad aatī ho
bahut satātī ho jānam bahut satātī ho
maiñ bhuul jā.ūñ magar kaise bhuul jā.ūñ bhalā
ye pāñch kurte haiñ dekho ye pāñch pājāme
Dale hue haiñ qamar-bañd in meñ aur dekho
ye Diary hai aur is meñ pate haiñ aur number
ise ḳhayāl se bakse kī jeb meñ rakhnā
ye tiin coat haiñ patlūn haiñ ye Tā.iyāñ haiñ
bañdhī huī haiñ ye sab tum ko kuchh nahīñ karnā
bahut ziyāda na piinā ki kuchh na yaad aa.e
jo lucknow meñ huā thā vo ab dobāra na ho
vo 'jaun' jo nazar aatā hai us kā zikr nahīñ
tum apne 'jaun' kā jo tum meñ hai bharam rakhnā
ye bank-kār manager ye apne technocrat
koī bhī shub.h nahīñ haiñ ye ek abas kā ThiThol
maiñ jāntī huuñ ki tum sun nahīñ rahe mirī baat
samāj jhuuT sahī phir bhī us kā paas karo
tum ek saada o barjasta aadmī Thahre
mizāj-e-vaqt ko tum aaj tak nahīñ samjhe
mirī shikast ke zaḳhmoñ kī sozish-e-jāved
nahīñ rahā mire zaḳhmoñ kā ab hisāb koī
nahīñ koī mirī manzil pe hai safar darpesh
hai gard gard abas mujh ko dar-ba-dar pesh
Top Urdushayar.com